Jo Quran yad kare Aur uske bad unko Quran yad na raha Phir Kaise yad karen?
Adhura hifz Quran Kaise mukammal kare ?
*Jawab *
#Jo yad kare uske bad unko yad na raha
#Jo 20 para tak karke mukammal na karskae adoora rah gaya
#Jo nazira acha padlete hain Likin Umar badi hogaee samajh ker yad nahi karrahe zahni rukawat ( mental bolck )ki Wajah se
In 3 hazarat ke liye Ek tareeqa hai hal karne ka in sha Allaah
Note : Jinko nazira mushkil se ata hai unke liye alag tareeqa hai
3 hazrat ke liye hal Yeh hai ke
1.app Apne family mai ya koi Aur baccha jo hifz karna chata ho ya zaheen jo nazira janta ho aise bachhe ko hifz karwane ka irada kijie
2. Ap ek Word ko 5 martab duhraen Aur Bacche se kahe ke Wo Apke saat 5 martba duhraen Aur Apke padhne ke bad baccha 5 martaba Phir se dohrae is tarah 10 martba hojaega Dono ko milaker in sha Allaah ,isi tarah ayat ke Har 2 ya 3 word ke bad pura milkar Ek Ayat ya Ek line ko 5 martba dohraen
Adad kam ya ziada Kia jasakta Apne Aur Bacche ki zahant ke hisab se
Is tarah baz Bacche akele Nai dohra pate unke liye asani hojaegi Aur unko yad hota dek ker apko bhi jazba barqar rahega
3. Adha ya Ek ghanta rozana karskate Yeh amal
4. Likin usi din result Nai aata dusre din result ata hai jaise chana pani mai bheegne rakhte hain to kuch time bad naram hota hai isi tarah hafiza ka muamala bhi time lagta hai Pakka karne 5. Usi din pahle ya bad mai yah dusre din adha ya Ek safha Kisi pasandeeda qari ko 10 martba sune Aur mushaf per ungli rak ker dohrain qari ke saat
In sha Allaah Ek safa ya 2 safhe asani se Rozana yad karskate hain in sha Allaah is tarah bade Aur baccha Dono ka hifz hojaega in sha Allaah
Note : Misr ke 20 Sal wale noujawan ne Ek din mai half para yad karte huve ( Subah pou aur magrib bad pou )2 month mai Quran hifz karliye
Allaaah madad karne wala hai
Emaan wale ke liye Ikhlas Aur ittibae nabi sallalahualaihi wasallam shart hai kamiyabi ke liye
Allaaah asaani kare
Phir bhi kuch detail chaiye to contact karskate
Arshad basheer madani
( whatapp message only )
00919290621633