Covid 19 Quarantine main kia kare ghar mai rahker

Assalamualikum
#MadaniQ/A ( number :208)
*Question*
*ghar mai kia karen Islami taleemat ke mutabiq quarantine ke mouqe per ?*

*Answer *
1.Quran ki tilawat 2 ya 3 pare daily padhna jitni sahulat ho

2. Farz namaz ke saat Tahajjud aur witr ka ihtemam

3. Dua Allaah se raham Aur magfirat ke liye mangna Aur tawakkul Allaah per asbab ke saat kiunke Strategy Aur tadbeer ko apnana tawakkul ke khilaf nahi
Allaah ke nabi sallalahualaihi wasallam ne kaha untni bandho Phir Allaah per bharosa karo

4. Sadqa kairat

5. Namaz ghar mai Jamat ke sat Aur time per ada karna

6. Quwwat e iradi mazboot rakhna news sunke ghabrana Nai Aur Zikr karte rahna

7.ghar mai rahna

8. Kam khane ki practice

9. Exercise ghar mai

10. Allaah ke naam ke zarie Dua mangna ,gam jata

11: chast ki kamz kam 2 rakat namaz Aman ka zaria
Sunrise hone ke 15 min bad se start hota zawal shams ya zuhar ke time se 10 minute pahle tak lagbhag
https://www.google.com/amp/s/islamqa.info/amp/ar/answers/22389
12. 10 nae Surah yad karna ya purane wale pakke karna

13. Duaen yad karna

#Wallahu Alam Barakallaah
****
#mazeed padhna chate hain to Neeche diye gae tafseelat mulahaza farmaen

***
http://www.askislampedia.com/web/guest/articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.