🔹Abu Umaama Baahili (Razi Allaahu Anhu) bayaan karte hain mai ne Rasool ﷺ ko yeh farmaate huwe suna:
(mai soya huwa tha ke mere paas do shakhs aae aur mere baazu pakad kar mujhe sakht aur dushwaar guzaar pahaad ke paas laae aur kehne lage: iss par chadhiye, mai ne unhein kaha ke mujh mein iss par chadhne ki taaqat nahi, woh dono kehne lage hum aap ke liye ise aasaan kardenge, to mein uss pahaad par chadh gaya jab oopar pahuncha to wahaan shadeed qisam ki awaazein aarahi thein, mai ne kaha yeh awaazein kaisi hain? Woh kehne lage: yeh jahannamiyon ki aah bukaa hai, phir woh mujhe aage le gae jahaan par kuch log konchon ke bal latak rahe the aur unke hont ke kinaare kate huwe the aur unke hont ke kinaare se khoon bah raha tha, mai ne kaha yeh log kaun hain? Woh kehne lage: yeh woh log hain jo iftaari se qabl hi apne roze iftaar karliyaa karte the.
📚(Ibne Khuzaimah: 1986, Ibne Hibbaan: 7491, Allama Albaani Rahimahullaah ne Mawaariduz-Zaan: 1509 mein iss hadees ko sahih qaraar diya hai).
📍Allama Albaani ka kehna hai: yeh us shakhs ki saza hai jo roza rakhne ke baad iftaari se qabl hi amadan yaani jaan boojh kar roza iftaar karde, to ab bataein ke jo bilkul hi roza na rakhe uski saza kya hogi?
Hum Allaah Ta’ala se dunya wa aakhirat mein salamati wa aafiyat ke talabgaar hain.
📌Imam Zahabi, apni Kitaab-ul-Kabaair mein kehte hain: Mominon ke haan yeh baat muqarrar shuda hai ke jisne bhi baghair shar’ee uzr aur marz ke ramazaan-ul-mubaarak ka ek bhi roza tark kiya to woh zaani aur sharaabi se bhi zyaada bura aur shareer hai, balke uske Islaam mein bhi shak kiya jaata hai aur usey zindeeq aur gumrah shumaar karte hain.
📕(Al-Kabaair, p.64)
⚜️💠💠💠💠💠💠💠⚜️
5️⃣||فقہ رمضان اور فقہ العبادات||
🛑 بلا عذر روزے چھوڑنے کی سزا
🔹ابوامامة باھلی رضی اللہ تعالی عنہ بیان کرتے ہیں میں نے رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا: (میں سویا ہوا تھا کہ میرے پاس دو شخص آۓ اور میرے بازو پکڑ کر مجھے سخت اور دشوار گزار پہاڑ کے پاس لائے اور کہنے لگے: اس پر چڑھیے، میں نے انہیں کہا کہ مجھ میں اس پر چڑھنے کی طاقت نہیں، وہ دونوں کہنے لگے ہم آپ کے لیے اسے آسان کر دیں گے، تو میں اس پہاڑ پر چڑھ گیا جب اوپر پہنچا تو وہاں شدید قسم کی آوازیں آرہی تھیں، میں نے کہا یہ آواز کیسی ہیں؟ وہ کہنے لگے: یہ جہنمیوں کی آہ بکاہے، پھر وہ مجھے آگے لے گئے جہاں پر کچھ لوگ کو نچوں کے بل لٹک رہے تھے اور ان کی ہونٹ کے کنارے کٹے ہوئے تھے، اور ان کے ہونٹ کے کنارہ سے خون بہہ رہا تھا، میں نے کہا یہ لوگ کون ہیں؟ وہ کہنے لگے: یہ وہ لوگ ہیں جو افطاری سے قبل ہی اپنے روزے افطار کر لیا کرتے تھے)
📚[ابن خزيمة(1985) وابن حبان (7491) علامہ البانی رحمہ اللہ نے موارد الظان (1509) میں اس حدیث کو صحیح قرار دیا ہے]
📍علامہ البانی رحمہ اللہ کا کہنا ہے: یہ اس شخص کی سزا ہے جو روزہ رکھنے کے بعد افطاری سے قبل ہی عمدا یعنی جان بوجھ کر روزہ افطار کر دے، تواب بتائیں کہ جو بالکل ہی روزہ نہ رکھے اس کی سزا کیا ہو گی؟
ہم اللہ تعالی سے دنیا و آخرت میں سلامتی و عافیت کے طلبگار ہیں۔
📌امام ذھبی رحمہ اللہ تعالی اپنی کتاب الکبائر میں کہتے ہیں: مومنوں کے ہاں یہ بات مقرر شدہ ہے کہ جس نے بھی بغیر شرعی عذر اور مرض کے رمضان المبارک کا ایک بھی روزہ ترک کیا تو وہ زانی اور شرابی سے بھی زیادہ برا اور شریر ہے، بلکہ اس کے اسلام میں بھی شک کیا جاتا ہے اور اسے زندیق اور گمراہ شمار کرتے ہیں۔
📕(الکبائر: ص64)
⚜️💠💠💠💠💠💠💠⚜️
5️⃣||FIQH OF RAMADAAN AND FIQH OF THE ACTS OF WORSHIP||
_🛑The Punishment for those who deliberately (i.e., without any valid excuse) do not fast in the month of Ramadaan:_
🏷️An-Nasaa’i narrated in al-Kubra (3273) that Abu Umaamah said: I heard the Messenger of Allaah (blessings and peace of Allaah be upon him) say: Whilst I was sleeping, two men came to me and took hold of my arms… And he quoted the hadith, in which he said: Then they set off with me, and I saw some people hung up by their Achilles tendon, with the corners of their mouths torn and dripping with blood. I said: Who are these? He said: These are the people who used to break the fast before it was permissible to do so.
📍Al-Albaani classed it as saheeh in as-Saheehah (3951), after which he said: This is the punishment of those who fasted then broke the fast before the time for breaking the fast came. So how about those who did not fast at all?!
We ask Allah to keep us safe and sound in this world and the hereafter.
📌Imam Dhahabi said in al-Kabaair:
According to the consensus of muslims, the one who breaks the fast without any legal i.e. shar’i excuse is worse than a fornicator and drunkard. His belief is deemed to be ambiguous and he will considered among the heretics and misguided ones.